Posts

Showing posts from March, 2017

Matlab

Jab khud se kuch kiya to jaakar mujhe aaram mila, Mai to khush tha ki mere dost ke jubaa pr mera naam mila, Par mai bhul gaya bina matlab koi kisi ko yad nahi karta, Jab b kisi ne yad kiya mujhe kuch na kuch kaam mila, Agar dekhoge duniya to samajh nahi paoge ki kis majhab ki hai, Bhai tujhse kaam hai tab tak pehchan hai warna saari duniya matlab ki hai, Un chirago ko b shama chahiye hoti hai bina matlab wo b jalaa nahi karta, Wo bhanvre b kaliyo se shahad chuskar dusre ki talash karta hai kya wo dagaa nahi karta, Jab b insaa ki aas badhkar uski jaroorat ban jaye wo pahonch jaate hai khuda k paas, Kyoki bina matlab aajkal koi uske aage sajdaa nahi karta, Sooraj b doobta hai kahee or nikalne k liye socho to ye baat b kitni gajab hai, Ye rooh b tera saath tab tak dega jab tak tu budhaa na ho kyoki har 1 cheez piche matlab hai.. ... Gd nt frndz # 100rav

Bewafa se wafaa

Roj kuch na kuch likhta hu khud se lafz kitne udhaar leta hu, Kala teeka bankar mai teri nazre utaar deta hu, Tu bhale hi badal de wapas aane ka tera raasta, Or mai kambakt jaha se tu gayee hoti hai us raaste par waqt gujaar deta hu, Or ye galti karke mai khud ko khafa kar raha hu, Kyoki aaj pata chala mai 1 bewafa se wafaa kar raha hu... Tujhe kisi or k sath dekha ye baat ko mai raaj kar deta hu, Shayad tu ab b meri hai ye kehkar khud ko thoda naraaj kar deta hu, Haa maine dekha tha tujhe fir usi jagah us gair k sath, Fir b mohbbat karta hu tujhse or is baat ko najar-andaaj kar deta hu, Mujhe hi hoti hai takleef jo ye galti mai har dafaaa kar raha hu, Shayad meri chahat dekh kar badal jaye wo isliye ek bewafa se mai aaj b wafaa kar raha hu.... Gd nt frndz #100rav