Posts

Showing posts from May, 2017

Boond

Kambakt ye musam, ye samaa toofani nahi hota, Iske piche chupa hua jo kahani nahi hota, Bahot khush hota h wo barish ki boondo ko dekhkar, Usko kya maloom har girne wala katra paani nahi hota.. . Gd nt frndz By #100rav

Sawal

Maana khwab hai mere lafzo me pr ashiqo k liye mai haqiqat likhta hu, mukkamal Nahi hua jaha me jo Sachi mohbbat khud ki Wo kismat likhta hu, Kambakt sawal Utha dete Kuch fizool log meri Shayri pr, Bas mujhe mohbbat se mohbbat hai isliye mohbbat likhta hu, Tune chaha hoga kisi ko jo Nahi mila Tujhe b Mai Wo chahat likhta hu, Jo bikhar jaye jamane me sila Sachi mohbbat ka, Bas us toote hue Dil ki daastan or khud ko Yahi khat likhta hu, Mohbbat se mohbbat hai mujhe isliye Mai shayri me mohbbat likhta hu... Gd nt frndz #100rav

Anjaan

khwaish ko b tu khwaish si ho gayi he tu mai teri itni khwaish karta hu, kyo beparda he tu meri chahat se jab har shayri me teri numaish karta hu, mai bar bar aata hu tere raaste me jaan bujhkar kyoki tu samjhe, jisse tu ittefaq kehti he mai us ittefaq ki saazish karta hu, mai peecha karta hu tera zameen ki tarah, or na jane meri mohbbat bankar tujhpar aasmaan kyo h, log kehte he mohbbat ki koi jubaa nahi hoti to fir tu ab tak meri mohbbat se anjaan kyo h... koi tajjurbedar ho to bataye kya ishq me aisa karna padta h, jiska intjar tum lambe arse se karo or wo u hi chale jaye kya ye dard sehna padta h, batate to log apni jarurato ko he ki mai iske bagair na jee paunga or tum wo b ho, par kya sachi mohbbat ko padh nahi sakti wo meri ankho me  kyo ise kehna padta h, haqiqat me teri nazar ko tadapta hu mai or khwab me paana tujhe itna aasaan kyo h, wo asmaan b chu leta he jamee ko kahi pahado me uski mohbbat dekhkar fir tu meri mohbbat se itni anjaan kyo h..... gd nt frndz #10

Videshi Papa

dikkat ho rahi thi ghar me or gharelu saaman kum pad rahi thi, khane wale 5 or kamane wale papa unki ankhe bebasi se nam pad rahi thi, jab or mushkil badhi or garibi k aasar ubhar gaye, to jaise taise jugaad kar papa kamane desh k bahar gaye, wo kamate the waha or ghar 2-4 paise aate the, meri maa na so paati thi raat ko unki yad me mat pucho khayal hume kaise kaise aate the, ab paise to bhej dete the papa waha se koi kamee na thi, par unke hone se jo ghar me hoti thi wo khushi na thi, hume lgta tha saare sapne humare u hi paani me ghool gaye, lagta videsh jaakar papa hume bhool gaye, hume khali waqt me b waqt nikalkar yad nahi karte, jo jaan chidakte the humpar ab wo thoda waqt b hum par barbaad nahi karte, humne bola ki aa jao aapke bina yaha haal kya h, wo kehne lage abhi 1 sal hua contract poore 3 sal ka h, na jaane ye sal kaise kaise humne bitaye, dekhkar hairaani hui jab wo ghar ko lout aaye, maa k chehre ka rang b bahot badal chuka tha, unhe dekhkar hi pata lag

Dosti

Gulaam kar dunga Apne dosto k liye jamane ko agar hath Me mere waqt ka kamaan aa jayega, Dagaa Nahi kar paayega Ye #100rav aziz Logo Se beech me mere dosti ka imaan aa jayega, Kabhi jo mukkamal ho jaye mout Mujhe to janaje me 4 Anjan logo ko hi bulana, KYuki dosti aisi hai mere dosto ke ki Wo agar janaja uthayenge Mera to us murde me B fir se jaan aa JaYega.. . Gd nt frndz #100rav

Pooraana

Mujhe paane k Baad ho jaye Wo begaana jaha se Sath mujhe Wo begaana chahiye, U thode waqt me na bharre jiska Dil is #100rav se marte dum tak ho sath Wo afsaana chahiye, Mere tanhai ko dekhkar kosne wale mere dosto shayad isliye akela hu mai Ab tak, Ki is modern love k jamaane me jo relation shadi me badle Bas mujhe wo rishta poorana chahiye.... Gd nt frndz #100rav

Maa

Tere hone se Ye jamee jannat si lagti hai, Tu dua karti haI or Wo cheez MIL jaati hai jo mannat si lagti hai, Tune har pal har lamhaa sanwara mujhe Maa, Ye Teri fikra Teri salah Tu Mujhe us kudrat si lagti hai.. . Bukhar me tu choom le Mathe ko to Wo mousam sard Kum ho Jaata hai, Jo dard ho badan me kahee b Tere chune se maa Wo dard Kum ho Jaata hai, Teri itni jyada mohbbat mujhpar us khuda ke rehmat si lagti hai, Tere hone se meri jindagi jannat si lagti hai... Gd my frndz #100rav