Posts

Bas mai uska intjar karta gaya

Yaad aati hai tu or ye mousam jab sard hota hai , tu bankar hai chaadar kisi or ka is baat ka dard hota hai , Mujhe pata tha ye ek tarfaa mohbbat adhoori rahegi, Fir bhi teri aane ki chahat me waqt nisaar karta gaya, Tu kisi or ko mere saamne pyar karta gaya, or mai kya kar sakta tha mai bas intjar karta gaya, Tere husn par din ba din uska khoomar badhta gaya , Tere sir ko uske kandhe par chaand ko kaale badal me samajh tera deedar karta gaya, Or kar hi kya sakta tha mai bas tera intjaar karta gaya, Or tu kisi or ko bas u pyar karta gaya , Jab peeche dekha to mehsus hua ki gawa di maine apni jindagi, fir is baat ka afsos hua ki kyu tere piche din bekar karta gaya, Lekin ab b aas thi hawa badalne ki or mai tera intjar karta gaya, par fir wo kisi or se be-intehaa pyar karta gaya .... gd nt frndz #100rav

बोझ

जो कभी घूम हो जाऊं इस मौत के सल्तनत में तो उमीद है की मेरे दोस्त मेरी तलाश लगायेंगे, बोझ बन जाऊंगा अपने ही दोस्तों पर एक दिन जब कंधे बदल बदल के वो मेरा लाश उठायेंगे ... शुभ रात्रि ......

Desh ka Kya hoga

Is 21st century me USA and Russia mars pr paani dhoondh rahe hai, Or kuch aise b log hai ki present k dour ko chodkar kahaani dhoondh rahe hai, Jo beet gaya wo baat gaya kya fark padta hai Kya raaj hai, Kisi ka baap late pahoncha or fir maa ka kaleja tadpa apne bete k liye aaj hai, Are tumhara bhi koi dost koi maratha, bhaya, buddhist ya muslim hoga, Har kisi ka haq hai sath chalo aisa thodi hai ki khana kabhi tumne poore hatho ki ungliyo k bin hoga, Ab har kisi ko rights hai sakoon se rehne ka mana koi cast tumhe naa-pasand hoga, Magar socho 3000 casts wale har koi strike par aaye to kitne din bharat band hoga, Ye baat dete hai kuch fizool log aaj kal well educated ko bhi khud ki socho sapno ko kitni takleef hoti hogi, Tum peacefully dharna de sakte ho ye buses ye train todna koi tumhara bhi to job pr hoga to apno ko kitni takleef hogi... Spread as much as you can Good morning #100rav

नया साल

नये साल में सोचा इस दौड़ में कुछ करना हो गया है बहोत जरूरी, क्या करूं इस सोच में बीत गया जन्वरी और फेब्रुवरी, मेरी कोशिशों पर जमाने के साथ किस्मत भी खेलने लगी खेल, इससे बचते बच...

Jindagi ka padhana

Na hai na kar koi bahana acha nahi lagta, Jaan le le meri bar bar satana acha nahi lagta, Mout tu hi aakar ek bar final exam le le, Ye jindagi ka har mod par lesson dekar padhana acha nahi lagta.... #100rav

Bhulati Kyo nahi

Agar pyar nahi to mujhe bhulati Kyo nahi, Mere khat kis liye rakhi hai jalaati kyo nahi, U college me baithkar kitabo me likh deti hai Mera naam itni nafrat hai to fir use mita-ti kyo nahi, Gd nt frndz #100rav

Tumhe chand Kya kaha Maine tum door ho gaye

Image
Tumhe chand Kya kaha Maine tum door ho gaye, Jisse pa na saka mai kabhi tum wo noor ho gaye , Kambakt jo Teri baah panah thi kabhi meri, Tune auro ko de diya aise b Kya tum magroor ho gaye , Kyo yaad nahi aata tujhe tere peeth par wo mera naam likhna, Samajh nahi aata kisi or k sath rehne ko kaise tum majboor ho gaye, Bewafa se badhkar ban ne ko kaise tum manjoor ho gaye, Kya koi majboori thi tumhari ya tum b  jamane ki tarah nashe me choor ho gaye, Tumhe chand Kya kaha Maine tum door ho gaye..                                                                              #100rav