Bas mai uska intjar karta gaya

Yaad aati hai tu or ye mousam jab sard hota hai ,
tu bankar hai chaadar kisi or ka is baat ka dard hota hai ,
Mujhe pata tha ye ek tarfaa mohbbat adhoori rahegi,
Fir bhi teri aane ki chahat me waqt nisaar karta gaya,
Tu kisi or ko mere saamne pyar karta gaya,
or mai kya kar sakta tha mai bas intjar karta gaya,
Tere husn par din ba din uska khoomar badhta gaya ,
Tere sir ko uske kandhe par chaand ko kaale badal me samajh tera deedar karta gaya,
Or kar hi kya sakta tha mai bas tera intjaar karta gaya,
Or tu kisi or ko bas u pyar karta gaya ,
Jab peeche dekha to mehsus hua ki gawa di maine apni jindagi,
fir is baat ka afsos hua ki kyu tere piche din bekar karta gaya,
Lekin ab b aas thi hawa badalne ki or mai tera intjar karta gaya,
par fir wo kisi or se be-intehaa pyar karta gaya ....
gd nt frndz
#100rav

Comments

Popular posts from this blog

कहानी मतलब वाले प्यार की

मोशमी