MAA

jab noor bikherna chahta hu mai apni shayri se to shayri me mai khudaa likh deta hu,
dard rehta hai dil me ya mayus hota hu to  shayri me mai lafz MAA likh deta hu,
uski mohbbat ka to us khuda ko b na ahsaas hai,
yakeen nahi to jara bolkar dekho maa shabd me 1 ajib si mithaas hai,
kehte hai naa duniya ki sabse keemti cheez cheen jaati hai 1 din,
to kadar karo us MAA k mohbbat ki jab tak tumhare paas hai,
mash-hoor ho jaata hu or b jab mai unpar koi nagmaa likh deta hu,
dard rehta hai dil me ya mayus hota hu to shayri me mai lafz MAA likh deta hu,
bina kisi matlab k wo jaan cheedakti hai socho ye kaisa MAA ka farz hota hai,
yakeen na ho to yad karo chot tumhe lagti hai par kambakt use kitna dard hota,
uski mamta aseem hai uska kayda khuda b bata nahi sakta hai,
maine socha shayri me utar du uski mohbbat ko par samandar kabhi mutthi me samaa nahi sakta hai,
is #100rav k liye to khuda hai wo hasti to kya hua jo mai MAA k jagah khudaa likh deta hu,
jab dard me hota hu ya dil mayoos hota hai to bas apni shayri me mai lafz MAA likh deta hu.
gd nt frndz
#100rav

Comments

Popular posts from this blog

कहानी मतलब वाले प्यार की

मोशमी