mai tumhari naiyaa banta hu or tum meri patwar ban jao

Nafrat to duniya kartee hai tum sabse alag hokar mera pyar ban jao,
Mai tumhari naiyaa banta hu or tum meri patwar ban jao,
Tum rahogi mai rahunga or khushiyo ka samandar hoga,
Koi kisi ka sath nahi chodega kyuki hume doobne ka dar hoga,
Mashuka, dilruba se badhkar tum meri patni bankar mera parivar ban jao,

Kya aisa ho sakta hai ki mai tumhari naiyaa banta hu or tum meri patwar ban jao,
Jab hogi kisi k hisse me khushiya to baat lenge to kisi ko khushiya kum na hogi,
Or jab gum hoga to dard b baat lenge to hum me se kisi ki ankhe num na hogi,
Tham lo mera hath or sukh dukh me mere bhaageedaar ban jao,
Kya aisa ho sakta hai ki mai tumhari naiyaa banta hu or tum meri patwar ban jao...
by
 #100rav

Comments

Popular posts from this blog

कहानी मतलब वाले प्यार की

मोशमी